Tuesday, July 22, 2008

The summary speech of the skit

Dialogues - Summary of Skit


Dekha Aapne? Insaan chota ho ya bada, dhanwaan ho ya nirdhan, roopwaan ho ya kuroop, uski pehchaan uske vyavahar se hi hoti hai. Jeene ko to pashu bhi jee lete hain, parantu, ek Manushya …..[gives a pause] … nods head horizontally … Ek Sacha Manav(speaks boldly) wo hai .. jo auro ke liye jiye.

Yeh kahani sirf ek kirdaar Manav sharma ki nahi, Yeh kahani aapki hai [Points left] Yeh kahaani aapki hai [Points center] aur Yeh kahani aapki bhi hai [Points right]

Iss daudti hui zindagi mein, rishto mein pyar, aur, dilo mein izzat kahi kho si gayi hai. Samay hai ki hum sankalp kare,

Hum khud se sankalp kare – Ki kisi rote hue insaan ko bharosa na sahi to do shabd khushi ke de jaayenge.
Hum khud se sankalp kare = Ki kisi chote starr ke insaan ko izzat dekar kuch ucha uthayenge
Hum khud se sankalp kare ….. Ki khud apne khuda ko, Hum Manav Bankar dikhayenge.

No comments:

Say out LOUD !